Ata Turab

kahin jamal-paziri ki had nahin rakhta

Ata Turab

1977
kahīñ jamāl-pazīrī kī had nahīñ rakhtā
maiñ baḌh rahā huuñ tasalsul se qad nahīñ rakhtā
ye qabl o ba.ad ke us paar kī hikāyat hai
mirā davām azal aur abad nahīñ rakhtā
vo ek ho ke bhī ham se ginā nahīñ jaatā
vo ek ho ke bhī aage adad nahīñ rakhtā
ye umr bhar kī riyāzat mirā muqaddar hai
tarāshtā huuñ jise ḳhāl-o-ḳhad nahīñ rakhtā
vo ik suḳhan hī hamārī sanad na ban jaa.e
vo ik suḳhan jo tumhārī sanad nahīñ rakhtā
'turāb' kāsa-e-dil pesh kar diyā jaa.e
sunā hai koī saḳhāvat kī had nahīñ rakhtā
Top Urdushayar.com