Yunus Tahseen

dil ki aawaz pe baiat bhi to ho sakti hai

Yunus Tahseen

1984
dil kī āvāz pe bai.at bhī to ho saktī hai
tum agar chāho mohabbat bhī to ho saktī hai
maiñ jise samjhā huuñ āvāra havā kī dastak
tere aane kī bashārat bhī to ho saktī hai
zindagī tere tasavvur se hī mashrūt nahīñ
terī yādoñ se halākat bhī to ho saktī hai
āḳhirī baar tujhe dekhnā hasrat hī nahīñ
marne vaale kī zarūrat bhī to ho saktī hai
kab zarūrī hai ki ham qais kī sunnat pe chaleñ
maz.hab-e-ishq meñ bid.at bhī to ho saktī hai
is liye dekhtā rahtā huuñ musalsal tujh ko
aañkh mahrūm-e-basārat bhī to ho saktī hai
lafz sheroñ meñ jo Dhalte nahīñ 'tahsīn' mire
soch ke rizq meñ qillat bhī to ho saktī hai
Top Urdushayar.com