Yunus Tahseen

ain masti mein hun dil duniya se begana hai

Yunus Tahseen

1984

ain mastī meñ huuñ dil duniyā se begāna hai

kyūñki ab pesh-e-nazar jalva-e-jānāna hai

hashr ke roz mulāqāt parvāna hai

hauz-e-kausar mire mahbūb mai-ḳhāna hai

chaar unsur ke tarāshe ko aiñvīñ na samajh

zarra zarra mirī tauqīr meñ dīvāna hai

avval avval mujhe taḳhlīq kiyā thā us ne

arsh ke nīche saarā mirā kāshāna hai

bāda-e-nūr ke do qatre haiñ ye raat aur din

aañkh be-ant gahrā.ī paimāna hai

jis ko fānūs meñ sho.ale samajh aa jaa.e

us ke aage na koī majnūñ na dīvāna hai

jism jism se kuchh din ta.alluq hogā

ruuh ruuh se āġhāz yārāna hai

vasl asl hai 'tahsīn' pareshāñ mat ho

hijr-e-ādam se hue jurm jurmāna hai

Top Urdushayar.com