Iqbal Umar

har baat jo na hona thi aisi hui ki bas

Iqbal Umar

har baat jo na honā thī aisī huī ki bas
kuchh aur chāhiye tujhe ai zindagī ki bas
jo din nahīñ guzarnā the vo bhī guzar ga.e
duniyā hai ham haiñ aur hai vo bebasī ki bas
jin par nisār naqd-e-sukūñ naqd-e-jāñ kiyā
un se mile to aisī nadāmat huī ki bas
maiñ jis ko dekhtā thā uchaTtī nigāh se
un kī nigāh mujh pe kuchh aisī paḌī ki bas
manzil samajh ke daar pe maiñ to na ruk sakā
ḳhud mujh se merī zindagī kahtī rahī ki bas
vo mas.ale hayāt ke jo mas.ale nahīñ
un mas.aloñ se uljhā hai yuuñ aadmī ki bas
pahuñchā jahāñ bhī log ye kahte hue mile
tahzīb apne shahr kī aisī miTī ki bas
duniyā ġharīb jaan ke hañstī thī 'mīr' par
'iqbāl' mujh pe aise ye duniyā hañsī ki bas
Top Urdushayar.com