vo  sanam  jab  suuñ  basā  dīda-e-hairān  meñ  aa
ātish-e-ishq  paḌī  aql  ke  sāmān  meñ  aa
naaz  detā  nahīñ  gar  ruḳhsat-e-gul-gasht-e-chaman
ai  chaman-zār-e-hayā  dil  ke  gulistān  meñ  aa
aish  hai  aish  ki  us  mah  kā  ḳhayāl-e-raushan
sham.a  raushan  kiyā  mujh  dil  ke  shabistāñ  meñ  aa
yaad  aatā  hai  mujhe  vo  do  gul-e-bāġh-e-vafā
ashk  karte  haiñ  makāñ  gosha-e-dāmān  meñ  aa
mauj-e-betābī-e-dil  ashk  meñ  huī  jalva-numā
jab  basī  zulf-e-sanam  tab-e-pareshān  meñ  aa
nāla-o-āh  kī  tafsīl  na  pūchho  mujh  suuñ
daftar-e-dard  basā  ishq  ke  dīvān  meñ  aa
panja-e-ishq  ne  betāb  kiyā  jab  suuñ  mujhe
chāk-e-dil  tab  suuñ  basā  chāk-e-garebān  meñ  aa
dekh  ai  ahl-e-nazar  sabza-e-ḳhat  meñ  lab-e-lāl
rañg-e-yāqūt  chhupā  hai  ḳhat-e-raihān  meñ  aa
husn  thā  parda-e-tajrīd  meñ  sab  suuñ  āzād
tālib-e-ishq  huā  sūrat-e-insān  meñ  aa
shaiḳh  yahāñ  baat  tirī  pesh  na  jaave  hargiz
aql  kuuñ  chhoḌ  ke  mat  majlis-e-rindān  meñ  aa
dard-mandāñ  ko  ba-juz  dard  nahīñ  said  murād
ai  shah-e-malk-e-junūñ  ġham  ke  bayābān  meñ  aa
hākim-e-vaqt  hai  tujh  ghar  meñ  raqīb-e-bad-ḳhū
dev  muḳhtār  huā  mulk-e-sulaimān  meñ  aa
chashma-e-āb-e-baqā  jag  meñ  kiyā  hai  hāsil
yūsuf-e-husn  tire  chāh-e-zanaḳhdān  meñ  aa
jag  ke  ḳhūbāñ  kā  namak  ho  ke  namak-parvarda
chhup  rahā  aa  ke  tire  lab  ke  namak-dān  meñ  aa
bas  ki  mujh  haal  suuñ  ham-sar  hai  pareshānī  meñ
dard  kahtī  hai  mirā  zulf  tire  kaan  meñ  aa
ġham  suuñ  tere  hai  tarahhum  kā  mahal  hāl-e-'valī'
zulm  ko  chhoḌ  sajan  sheva-e-ehsān  meñ  aa