Noor Jahan Sarwat

kaun tanhai ka ehsas dilata hai mujhe

Noor Jahan Sarwat

Delhi, India

1949-2010
kaun tanhā.ī kā ehsās dilātā hai mujhe
ye bharā shahr bhī tanhā nazar aatā hai mujhe
jaane kis moḌ pe kho jaa.e andhere meñ kahīñ
vo to ḳhud saaya hai jo raah dikhātā hai mujhe
us kī palkoñ se Dhalak jā.ūñ na aañsū ban kar
ḳhvāb kī tarah jo āñkhoñ meñ sajātā hai mujhe
aks tā aks badal saktī huuñ chehra maiñ bhī
merā maazī magar ā.īna dikhātā hai mujhe
vo bhī pahchān na paayā mujhe apnoñ kī tarah
phuul bhī kahtā hai patthar bhī batātā hai mujhe
ajnabī lagne lagā hai mujhe ghar kā āñgan
kyā koī shahr-e-nigārāñ se bulātā hai mujhe
kisī rut meñ bhī mirī aas na TuuTī 'sarvat'
har nayā jhoñkā ḳhalāoñ meñ uḌātā hai mujhe
Top Urdushayar.com