Wali Mohammad Wali

kiya mujh ishq ne zalim kun aab aahista aahista

Wali Mohammad Wali

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1667-1725
kiyā mujh ishq ne zālim kuuñ aab āhista āhista
ki ātish gul kuuñ kartī hai gulāb āhista āhista
vafādārī ne dilbar kī bujhāyā ātish-e-ġham kuuñ
ki garmī dafa.a kartā hai gulāb āhista āhista
ajab kuchh lutf rakhtā hai shab-e-ḳhalvat meñ gul-rū suuñ
ḳhitāb āhista āhista javāb āhista āhista
mire dil kuuñ kiyā be-ḳhud tirī añkhiyāñ ne āḳhir kuuñ
ki jyuuñ behosh kartī hai sharāb āhista āhista
huā tujh ishq suuñ ai ātishīñ-rū dil mirā paanī
ki jyuuñ galtā hai ātish suuñ gulāb āhista āhista
adā o naaz suuñ aatā hai vo raushan-jabīñ ghar suuñ
ki jyuuñ mashriq suuñ nikle āftāb āhista āhista
'valī' mujh dil meñ aatā hai ḳhayāl-e-yār-e-be-parvā
ki jyuuñ añkhiyāñ manīñ aatā hai ḳhvāb āhista āhista
Top Urdushayar.com