vahī  hai  nafs-e-mazmūñ  sirf  tadbīreñ  badaltī  haiñ
huzūr-e-dost  kyā  kyā  apnī  taqrīreñ  badaltī  haiñ
ye  nagrī  husn  vāloñ  kī  ajab  nagrī  hai  ai  hamdam
ki  is  nagrī  meñ  aahoñ  kī  bhī  tāsīreñ  badaltī  haiñ
na  itrā  ai  dil-e-nādāñ  kisī  ke  ahd-o-paimāñ  par
ki  qaul  o  fel  kyā  logoñ  kī  tahrīreñ  badaltī  haiñ
ḳhudā.ī  kā  agar  karte  haiñ  da.avā  but  nahīñ  bejā
nigāh-e-lutf  se  dekheñ  to  taqdīreñ  badaltī  haiñ
koī  saffāk  jab  dīdoñ  meñ  diide  Daal  detā  hai
to  dil  se  dil  nahīñ  ulfat  kī  jāgīreñ  badaltī  haiñ
kisī  kāfir  ke  yaad  aate  haiñ  andāz-o-adā  jis  dam
nazar  ke  sāmne  kitnī  hī  tasvīreñ  badaltī  haiñ
kisī  par  barq  girtī  hai  koī  chaḌhtā  hai  suulī  par
ba-qadar-e-zauq-e-mujrim  'ḳhār'  ta.azīreñ  badaltī  haiñ