is  qadar  us  kī  mudārāt  hai  vīrāne  meñ
koī  to  baat  hai  āḳhir  tire  dīvāne  meñ
faiz-e-sāqī  se  jo  mahrūm  haiñ  mai-ḳhāne  meñ
jaane  kyā  ham  se  ḳhatā  ho  ga.ī  anjāne  meñ
vaqt  kī  baat  hai  ab  us  ke  taraste  haiñ  lab
''jitnī  ham  chhoḌ  diyā  karte  the  paimāne  meñ''
maiñ  ne  maanā  ki  adū  bhī  tirā  shaidā.ī  hai
farq  hotā  hai  fidā  hone  meñ  mar  jaane  meñ
dilrubā.ī  ke  jise  ham  ne  sikhā.e  andāz
jān-e-mahfil  hai  vahī  ġhair  ke  kāshāne  meñ
har  adā  dil  ke  liye  dashna-o-ḳhanjar  hai  magar
aur  hī  baat  hai  zālim  tire  sharmāne  meñ
na  tasallī  na  tashaffī  na  koī  pyaar  kī  baat
tujh  ko  kyā  miltā  hai  kāfir  hameñ  taḌpāne  meñ
sāqiyā  mai  jo  nahīñ  baaqī  to  talchhaT  hī  sahī
Daal  de  nām-e-ḳhudā  thoḌī  sī  paimāne  meñ
merī  jānib  se  tire  dil  meñ  ġhubār  aa  hī  gayā
āḳhirash  aa  hī  gayā  ġhair  ke  bhaḌkāne  meñ
ishq  kī  aag  sivā  kis  meñ  hai  ye  kaun  kahe
sham.a  ke  sīna-e-sozāñ  meñ  ki  parvāne  meñ
'ḳhār'  hai  jalva-e-asnām  se  dil  ḳhuld-e-barīñ
yā  parī-zādoñ  kā  majma.a  hai  parī-ḳhāne  meñ