Khar Dehlavi

haijaan mein talash-e-sukun kar raha hun main

Khar Dehlavi

Lahore, Punjab, Pakistan

1916

haijān meñ talāsh-e-sukūñ kar rahā huuñ maiñ

yuuñ apne ġham ko aur fuzūñ kar rahā huuñ maiñ

vo sun rahe haiñ aur tabassum hai zer-e-lab

un se bayān hāl-e-zabūñ kar rahā huuñ maiñ

ab is se baḌh ke aur ho vahshat kyā subūt

tālīf nusḳha-hā-e-junūñ kar rahā huuñ maiñ

ik dushman-e-vafā se baḌhā.ī hai rasm-o-rāh

ḳhud apnī ārzūoñ ḳhuuñ kar rahā huuñ maiñ

ab vādi-e-junūñ meñ qadam rakh chukā hai ishq

tash.hīr-e-dāġh-hā-e-darūñ kar rahā huuñ maiñ

mas.hūr ho rahe haiñ vo sun kar mirā kalām

dam un pe jaise koī fusūñ kar rahā huuñ maiñ

ma.abūd hai vo bas mirā matlūb nahīñ

sajda us āstāne pe yuuñ kar rahā huuñ maiñ

shāyad ki āb-e-teġh āb-e-hayāt ho

hadd-e-adab se ḳhud ko barūñ kar rahā huuñ maiñ

siina bhī merā haath bhī mere tumheñ ġharaz

zad-kūb apne siina ko kyuuñ kar rahā huuñ maiñ

chupke se sah rahā huuñ sitam tere bevafā

merī ḳhatā to jab ho ki chuuñ kar rahā huuñ maiñ

zo.am-e-ḳhudī meñ jis pe na jaane ahd thā

us dar pe 'ḳhār' sar ko nigūñ kar rahā huuñ maiñ

Top Urdushayar.com