sozish-e-ġham  ba-rū-e-kār  aa.ī
aah  bhī  lab  pe  sho.ala-bār  aa.ī
chashm-e-giryāñ  kī  ābyārī  se
dil  ke  dāġhoñ  pe  phir  bahār  aa.ī
dast-e-vahshat  kī  kār-farmā.ī
tā-ba-dāmān-e-tār-tār  aa.ī
tere  dīvāne  kyā  bhalā  jāneñ
kab  ḳhizāñ  aa.ī  kab  bahār  aa.ī
kasmapursī  kā  uf-re  ye  aalam
yaad  ham  ko  jafā-e-yār  aa.ī
dekho  vo  chhā.ī  uudī  uudī  ghaTā
mai-gusāroñ  kī  ġham-gusār  aa.ī
sū-e-gulshan  jo  aaj  aa  nikle
yaar  kī  yaad  baar  baar  aa.ī
bhīnī  bhīnī  kisī  badan  kī  mahak
bū-e-gesū-e-mushk-bār  aa.ī
ġhuncha  o  gul  kā  dekh  kar  jauban
yād-e-mahbūb-e-gul-azār  aa.ī
hai  javānī  ḳhud  apnī  mashshāta
husn  ko  kis  qadar  nikhār  aa.ī
'ḳhār'  ulfat  kī  baat  jaane  do
zindagī  kis  ko  sāzgār  aa.ī