Nitin Nayab

gham ke be-nur mazaron ka gala ghonT aaya

Nitin Nayab

Aligarh, Uttar pradesh, India

1981
ġham ke be-nūr mazāroñ kā galā ghoñT aayā
saare be-mehr sahāroñ kā galā ghoñT aayā
qarya-e-hijr ke ik ghar kā vo vīrān āñgan
vasl ke shoḳh nazāroñ kā galā ghoñT aayā
raah ke sañg ko suulī pe chaḌhāyā pahle
aur phir paañv ke ḳhāroñ kā galā ghoñT aayā
roz sūraj ki taraf se ye savāl aatā hai
kyā maiñ un chand sitāroñ kā galā ghoñT aayā
zulmat-e-shab maiñ vo bastī ke nashīnoñ kā junūn
shahr kī saare manāroñ kā galā ghoñT aayā
haa.e ik phuul masalne ko ye kāñToñ kā hujūm
jā ke gulshan meñ bahāroñ kā galā ghoñT aayā
Dār-e-purkhār pe laTkā ke sulagte phande
qatra-e-āb sharāroñ kā galā ghoñT aayā
aaj phir zabt-e-rag-e-jāñ se nikal kar 'nāyāb'
dard ke jalte dayāroñ kā galā ghoñT aayā
Top Urdushayar.com