Wali Mohammad Wali

ruh baKHshi hai kaam tujh lab ka

Wali Mohammad Wali

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1667-1725
ruuh baḳhshī hai kaam tujh lab kā
dam-e-īsā hai naam tujh lab kā
husn ke ḳhizr ne kiyā labrez
āb-e-haivāñ suuñ jaam tujh lab kā
mantiq-o-hikmat-o-ma.ānī par
mushtamil hai kalām tujh lab kā
jannat-e-husn meñ kiyā haq ne
hauz-e-kausar maqām tujh lab kā
rag-e-yāqūt ke qalam suuñ likheñ
ḳhat paristāñ payām tujh lab kā
sabza-o-barg-o-lāla rakhte haiñ
shauq dil meñ davām tujh lab kā
ġharq-e-shakkar hue haiñ kām-o-zabāñ
jab liyā huuñ maiñ naam tujh lab kā
misl-e-yāqūt ḳhat meñ hai shāgird
sāġhar-e-mai mudām tujh lab kā
hai 'valī' kī zabāñ ko lazzat-baḳhsh
zikr har sub.h-o-shām tujh lab kā
Top Urdushayar.com