Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan

us gul ko bhejna hai mujhe KHat saba ke hath

Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan

Agra, Uttar pradesh, India

1699-1781
us gul ko bhejnā hai mujhe ḳhat sabā ke haath
is vāste lagā huuñ chaman kī havā ke haath
barg-e-hinā uupar likho ahvāl-e-dil mirā
shāyad ki jā lage vo kisī mīrzā ke haath
āzād ho rahā huuñ do aalam kī qaid se
miinā lagā hai jab se ki kuchh be-navā ke haath
martā huuñ mīrzā.i-e-gul dekh har sahar
sūraj ke haath chunarī to pañkhā sabā ke haath
'maz.har' chhupā ke rakh dil-e-nāzuk ko apne tū
ye shīsha bechnā hai kisī mīrzā ke haath
Top Urdushayar.com