Farah Khan

suraj tanab-e-sham ko thame khaDa rahe

Farah Khan

1970

sūraj tanāb-e-shām ko thāme khaḌā rahe

us ke palaT ke aane imkān rahe

shab bhar dar-e-gumāñ rahe dastak muntazir

galiyoñ meñ ik fareb ko āvāz-e-pā rahe

azbar raheñ kisī tarah pichhlī rifāqateñ

sūkhe hue shajar pe bhī ik ghoñsla rahe

maiñ misl-e-bū-e-gul huuñ havāoñ ke saath saath

mahsūs kar sake vo mujhe DhūñDhtā rahe

jaate hue vo naam mire dil pe likh gayā

chhoḌe hue makāñ pe makīñ patā rahe

aise guzar rahī hai havādis ke darmiyāñ

kashtī safar pasand ho paanī rukā rahe

bujhte hue charāġh lau par hai inhisār

ho ashk bhī na aañkh meñ baaqī to kyā rahe

yuuñ bhī na hoñ 'farah' mire masdūd rāste

us se kabhī kabhī to kahīñ sāmnā rahe

Top Urdushayar.com