Ghulam Mohammad Qasir

phir wo dariya hai kinaron se chhalakne wala

Ghulam Mohammad Qasir

Paharpur, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1941-1999
phir vo dariyā hai kināroñ se chhalakne vaalā
shahr meñ koī nahīñ aañkh jhapakne vaalā
jis se har shāḳh pe phūTī tire aane kī mahak
aam ke peḌ pe vo bor hai pakne vaalā
yuuñ to āñgan meñ charāġhoñ kī farāvānī hai
bujhtā jaatā hai vo ik naam chamakne vaalā
phir kahānī meñ nishānī kī tarah chhoḌ gayā
dil kī dahlīz pe ik dard dhaḌakne vaalā
hijr-Taksāl meñ Dhālegā ġhazal ke sikke
terī mahfil meñ kabhī bol na sakne vaalā
Top Urdushayar.com