aaj  sarsabz  koh  o  sahrā  hai
har  taraf  sair  hai  tamāshā  hai
chehra-e-yār  o  qāmat-e-zebā
gul-e-rañgīn  o  sarv-e-ra.anā  hai
ma.ani-e-husn  o  ma.ani-e-ḳhūbī
sūrat-e-yār  suuñ  huvaidā  hai
dam-e-jāñ-baḳhsh  nau-ḳhatāñ  muj  kuuñ
chashma-e-ḳhizr  hai  masīhā  hai
kamar-e-nāzuk  o  dahān-e-sanam
fikr  bārīk  hai  muammā  hai
mū-ba-mū  us  kuuñ  hai  pareshānī
zulf-e-mushkīñ  kā  jis  kuuñ  saudā  hai
kyā  haqīqat  hai  tujh  tavāzo  kī
yū  talattuf  hai  yā  mudāvā  hai
sabab-e-dilrubā.i-e-āshiq
mehr  hai  lutf  hai  dilāsā  hai
juuñ  'valī'  raat  din  hai  mahv-e-ḳhayāl
jis  kuuñ  tujh  vasl  kī  tamannā  hai