bhalā  ho  jis  kaam  meñ  kisī  kā  to  us  meñ  vaqfa  na  kījiyegā
ḳhayāl-e-zahmat  na  kījiyegā  malāl-e-īzā  na  kījiyegā
vo  mujh  se  farmā  rahe  haiñ  hañs  kar  hamesha  milne  kī  aarzū  par
malāl  hogā  muhāl  shai  kī  kabhī  tamannā  na  kījiyegā
habāb  hai  zindagī  kā  naqsha  kahāñ  kā  din  māh-o-sāl  kaisā
havā  hai  ye  dam  kā  kyā  bharosa  ummīd-e-fardā  na  kījiyegā
kiyā  to  hai  ishq  hazrat-e-dil  liyā  hai  sar  par  ye  bār-e-mushkil
huā  agar  mudda.ā  na  hāsil  to  raaz  ifshā  na  kījiyegā
jo  aap  aa.eñ  pa.e  ayādat  yaqīñ  hai  ho  jaa.e  mujh  ko  sehat
magar  barā-e-ḳhudā  ye  zahmat  kabhī  gavāra  na  kījiyegā
jo  ahl-e-duniyā  ke  the  muḳhālif  hue  vo  duniyā  ke  aur  na  diiñ  ke
samajhiye  ab  ḳhātma  hai  diiñ  kā  jo  fikr-e-duniyā  na  kījiyegā
ye  qā.eda  rasm-o-rāh  kā  hai  ḳhayāl  donoñ  taraf  ho  yaksāñ
kisī  ko  parvā  na  hogī  jis  dam  kisī  kī  parvā  na  kījiyegā
ta.alluq  ahl-e-jahāñ  se  ho  gar  to  rakhiye  bīm-o-rajā  barābar
sivā  ḳhudā  ke  kisī  ke  upar  kabhī  bharosa  na  kījiyegā
aziiz  hai  jauhar-e-amānat  kisī  se  ulfat  ho  yā  adāvat
agar  hai  kuchh  ġhairat-e-sharāfat  to  raaz  ifshā  na  kījiyegā
bayān  kī  ehtiyāj  hai  kab  rahā  hai  sirf  ek  harf-e-matlab
'habīb'  kā  dard-e-dil  sunā  sab  ab  is  kā  chāra  na  kījiyegā