Habeeb Moosavi

jabin par kyun shikan hai ai jaan munh hai ghusse se lal kaisa

Habeeb Moosavi

jabīn par kyuuñ shikan hai ai jaan muñh hai ġhusse se laal kaisā

hazār bāteñ hoñ ek haiñ phir bhalā ye bāham malāl kaisā

nahīñ hai ab tāb-e-dard-e-furqat kahāñ izzat kahāñ ġhairat

haiñ mubtalā apne haal meñ ham kisī is dam ḳhayāl kaisā

batāo mujh ko ye kyā huā hai ye kaun dard-e-lā-davā hai

ye kyuuñ mirā dam ulajh rahā hai hai ḳhud-baḳhud niDhāl kaisā

tamām aalam huā jo shaidā to kuchh ta.ajjub nahīñ hai is

but-e-sitamgār tujh ko baḳhshā ḳhudā ne husn-o-jamāl kaisā

gunah se serī huī nahīñ hai ye kahte haiñ sab ajal qarīñ hai

qalaq meñ har dam dil-e-hazīñ hai ki hogā apnā ma.aal kaisā

ye us sitamgar se koī kah de marīz-e-furqat ab ḳhabar le

haiñ kaT rahī zindagī ghaḌiyāñ kahāñ din māh-o-sāl kaisā

ġhazab se hai vaañ jo chiiñ jabīñ par hujūm-e-ġham hai dil-e-hazīñ par

lahū ke dhabbe haiñ āstīñ par hai dāman ashkoñ se laal kaisā

havas hai har ek meñ hue jo ġhash vasl ḳhushī meñ

tamām shab guzrī be-ḳhudī meñ javāb kaisā savāl kaisā

jahān chhānā paḌā hai kab falak pe vahshat ab hai shohrā

kahāñ maġhrib kahāñ mashriq junūb kaisā shumāl kaisā

vo mehr huuñ maiñ huā jo tāle.a to ik zamāne ne ḳhaak uḌaa.ī

chamakne dete nahīñ haiñ bad meñ uruuj kaisā zavāl kaisā

'habīb' kar ke butoñ ulfat abhī se ye hijr shikāyat

rahegā ab hashr tak ye jhagḌā yahāñ bhalā infisāl kaisā

Top Urdushayar.com