Habeeb Moosavi

hai aaTh pahar tu jalwa-numa timsal-e-nazar hai partaw-e-ruKH

Habeeb Moosavi

hai aaTh pahar tū jalva-numā timsāl-e-nazar hai partav-e-ruḳh
aariz hai qamar ḳhurshīd jabīñ shab-e-zulf-e-sahar hai partav-e-ruḳh
ā.ankhoñ meñ huā hai ghar terā dil kahtā hai rakh har dam parda
ho chashm-e-tamannā kyuuñ kar vā āshiq kī nazar hai partav-e-ruḳh
jab madd-e-nazar aġhyār the vaañ tārīk thā yaañ ā.ankhoñ meñ jahāñ
raushan hai charāġh-e-rūh-e-ravāñ kyā aaj idhar hai partav-e-ruḳh
kī fikr magar baa.is na khulā ai lāla-ruḳh-e-be-mehr-o-vafā
batlā to ye dil kā dard hai kyā gar dāġh-e-jigar hai partav-e-ruḳh
ġhash koī kisī ko hai saktā hai nūr-e-ḳhudā terā jalva
ho daḳhl tire ghar meñ kis kā yaañ hājib-e-dar hai partav-e-ruḳh
uTh āshiq-e-muztar sajde kar aa.ī hai shab-e-maqsad kī sahar
vo dekhte haiñ ġhurfe se idhar ai ḳhāk-basar hai partav-e-ruḳh
shohra hai bahār-e-āriz kā bulbul kī tarah āshiq haiñ fidā
hai bāġh-e-javānī rūh-afzā barg-e-gul-e-tar hai partav-e-ruḳh
jis se ho aañsū ḳhūn-e-jigar ban jaa.e aqīq-o-la.al-o-guhar
ḳhurshīd-o-qamar aur sīm-o-zar ai jaan magar hai partav-e-ruḳh
betāb 'habīb'-e-muztar hai hairān kabhī gah shashdar hai
phirtā hai gul-e-ḳhurshīd-sifat muñh us kā jidhar hai partav-e-ruḳh
Top Urdushayar.com