hai  aaTh  pahar  tū  jalva-numā  timsāl-e-nazar  hai  partav-e-ruḳh
aariz  hai  qamar  ḳhurshīd  jabīñ  shab-e-zulf-e-sahar  hai  partav-e-ruḳh
ā.ankhoñ  meñ  huā  hai  ghar  terā  dil  kahtā  hai  rakh  har  dam  parda
ho  chashm-e-tamannā  kyuuñ  kar  vā  āshiq  kī  nazar  hai  partav-e-ruḳh
jab  madd-e-nazar  aġhyār  the  vaañ  tārīk  thā  yaañ  ā.ankhoñ  meñ  jahāñ
raushan  hai  charāġh-e-rūh-e-ravāñ  kyā  aaj  idhar  hai  partav-e-ruḳh
kī  fikr  magar  baa.is  na  khulā  ai  lāla-ruḳh-e-be-mehr-o-vafā
batlā  to  ye  dil  kā  dard  hai  kyā  gar  dāġh-e-jigar  hai  partav-e-ruḳh
ġhash  koī  kisī  ko  hai  saktā  hai  nūr-e-ḳhudā  terā  jalva
ho  daḳhl  tire  ghar  meñ  kis  kā  yaañ  hājib-e-dar  hai  partav-e-ruḳh
uTh  āshiq-e-muztar  sajde  kar  aa.ī  hai  shab-e-maqsad  kī  sahar
vo  dekhte  haiñ  ġhurfe  se  idhar  ai  ḳhāk-basar  hai  partav-e-ruḳh
shohra  hai  bahār-e-āriz  kā  bulbul  kī  tarah  āshiq  haiñ  fidā
hai  bāġh-e-javānī  rūh-afzā  barg-e-gul-e-tar  hai  partav-e-ruḳh
jis  se  ho  aañsū  ḳhūn-e-jigar  ban  jaa.e  aqīq-o-la.al-o-guhar
ḳhurshīd-o-qamar  aur  sīm-o-zar  ai  jaan  magar  hai  partav-e-ruḳh
betāb  'habīb'-e-muztar  hai  hairān  kabhī  gah  shashdar  hai
phirtā  hai  gul-e-ḳhurshīd-sifat  muñh  us  kā  jidhar  hai  partav-e-ruḳh