falak  kī  gardisheñ  aisī  nahīñ  jin  meñ  qadam  Thahre
sakūñ  dushvār  hai  kyūñkar  tabī.at  koī  dam  Thahre
qazā  ne  dostoñ  se  dekhiye  āḳhir  kiyā  nādim
kiye  the  ahd-o-paimāñ  jis  qadar  vo  kul  adam  Thahre
chhuā  tū  ne  jise  maarā  use  ai  afa.ī-e-gesū
ye  sab  tiryāq  mere  tajraba  karne  meñ  sam  Thahre
kiyā  jab  ġhaur  kosoñ  duur  niklī  manzil-e-maqsad
kabhī  gar  pā-e-shal  uTThe  to  chal  kar  do  qadam  Thahre
lagā  kar  dil  judā  honā  na  thī  shart-e-vafā  sāhab
ġham-e-furqat  kī  shiddat  se  karam  jaur-o-sitam  Thahre
jo  kuchh  dekhā  vo  ā.īna  thā  aane  vaalī  hālat  kā
jahāñ  dekhā  yahī  ā.ankhoñ  ke  kāñse  jām-e-jam  Thahre
amal  kahne  pe  apne  hazrat-e-vā.iz  kareñ  pahle
gunah  ke  mo'tarif  jab  haiñ  to  vo  kab  mohtaram  Thahre
javānī  kī  siyah-mastī  meñ  vasf-e-zulf  likkhā  thā
baḌhā  vo  silsila  aisā  ki  ham  mushkīñ  qalam  Thahre
ye  sābit  hai  ki  mutlaq  kā  ta.ayyun  ho  nahīñ  saktā
vo  sālik  hī  nahīñ  jo  chal  ke  tā-dair-o-haram  Thahre
bashar  ko  qaid-e-kulfat  māya-e-andoh-o-āfat  hai
rahe  achchhe  jo  is  mehmāñ-sarā  meñ  aa  ke  kam  Thahre
'habīb'-e-nā-tavāñ  se  rāh-e-ulfat  tai  nahīñ  hotī
ajab  kyā  gar  ye  rasta  jāda-e-mulk-e-adam  Thahre