Habeeb Moosavi

shab ki mutrib tha sharab-e-nab thi paimana tha

Habeeb Moosavi

shab ki mutrib thā sharāb-e-nāb thī paimāna thā
vo parī-vash kyā na thā goyā ki jo kuchh thā na thā
soz-e-dil se lab ye har dam naala betābāna thā
hijr-e-sāqī meñ kisī pahlū qarār aslā na thā
jalva-gar dil meñ ḳhayāl-e-āriz-e-jānāna thā
ghar kī zīnat thī ki zīnat-baḳhsh sāhab-ḳhāna thā
kyā karūñ ab mubtalā huuñ aap apne haal meñ
dī thī ne.amat us ne jab lab par mire shukrāna thā
shohra-e-āfāq hotī merī az-ḳhud-raftagī
ḳhairiyat guzrī ki ā.ankhoñ se tujhe dekhā na thā
fasl-e-gul meñ chhoḌtā mai dekh kar māh-e-siyām
kuchh junūñ mujh ko na thā vahshat na thī saudā na thā
kyā kahūñ Dar ye hai vo lailā-adā rusvā na ho
varna majnūñ se bhī kuchh baḌh kar merā afsāna na thā
gar nazākat meñ na hotā misl-e-tār-e-ankabūt
ḳhuub ulfat se zamāna meñ koī rishta na thā
yuuñ za.īfī aa ga.ī goyā azal se the za.iif
aur shabāb aisā gayā jaise kabhī aayā na thā
hai yaqīñ āshiq tumhārā mar gayā ho lo ḳhabar
maiñ ne kal dekhā thā jā kar haal kuchh achchhā na thā
nīm-bāz āñkheñ tumhārā naam thā vird-e-zabāñ
zaḳhm-e-dil par haath thā lab par magar shikva na thā
baḳht kī bargasht-agī guzrī hai had se ai 'habīb'
dekhte haiñ un ke talve jin kā muñh dekhā na thā
Top Urdushayar.com