sharāb  pī  jaan  tan  meñ  aa.ī  alam  se  thā  dil  kabāb  kaisā
gale  se  lag  jaao  aao  sāhab  kahāñ  kā  parda  hijāb  kaisā
ab  aao  bhī  har  taraf  takalluf  naqāb  kaisī  kahāñ  kā  parda
jhukā.e  kyuuñ  sar  ho  sharm  se  tum  ayaañ  hai  ruḳh  se  hijāb  kaisā
baḌhā  jo  maiñ  rakh  ke  uzr-e-mastī  kahā  ye  hañs  kar  chaḌhā  ke  tevrī
haTo  zarā  hosh  meñ  raho  jī  sambhālo  dil  iztirāb  kaisā
tumheñ  mubārak  ho  jo  liyā  hai  bhulā  do  jo  ham  ko  de  diyā  hai
jo  ho  gayā  us  kā  zikr  kyā  hai  ye  dostoñ  meñ  hisāb  kaisā
bahār  ke  din  haiñ  kyā  maza  hai  sharāb  kā  daur  chal  rahā  hai
lagā  hai  sabza  chaman  khulā  hai  baras  rahā  hai  sahāb  kaisā
maiñ  rashk-e-majnūñ  huuñ  dekh  idhar  tū  na  lā  sabā  gulsitāñ  kī  ḳhushbū
ġhubār  kī  hai  dimāġh  ko  ḳhū  kahāñ  kā  itr  aur  gulāb  kaisā
vo  chashm  kartī  hai  said  aahū  haiñ  itne  tīr-e-mizha  tarāzū
pukār  hogī  ye  kal  ko  har  sū  karīh  hai  mushk-e-nāb  kaisā
kabhī  vo  mastī  meñ  rañg  laa.e  kabhī  kiyā  shaad  muskurā.e
ajab  tarah  ke  maze  uThā.e  visāl  kī  shab  meñ  ḳhvāb  kaisā
na  mel  kar  sāqiyā  yūñhī  de  pasand  mujh  ko  nahīñ  koī  shai
jigar  pe  charkā  lage  piyāpe  kahāñ  kā  paanī  gulāb  kaisā
nahīñ  hai  dozaḳh  kā  dil  ko  kuchh  ġham  mirī  bhī  sun  nāsehā  zarā  tham
rahīm  vo  pur-gunāh  haiñ  ham  azaab  kaisā  savāb  kaisā
jo  roz  hai  ruḳh  to  zulf  hai  shab  zaqan  hai  mānind  chāh-e-naḳhshab
ye  haal  hai  bachpane  meñ  yārab  to  hogā  ahd-e-shabāb  kaisā
ye  daur  hai  chashm-e-surma-gūñ  kā  falak  hai  ik  qatra  bahr-e-ḳhūñ  kā
jahān  meñ  rañg  hai  fusūñ  kā  hai  mast  har  shaiḳh-o-shabāb  kaisā
'habīb'  haiñ  band  kaam  tere  kahāñ  haiñ  shāh-e-anām  tere
nahīñ  pahuñchte  imaam  tere  hai  banda-e-bū-turāb  kaisā