niind  ujḌī  to  nigāhoñ  meñ  manāzir  kyā  haiñ
ham  ki  betāb  kisī  ḳhvāb  kī  ḳhātir  kyā  haiñ
barg-e-māsūm  se  karte  haiñ  ḳhizāñ  kī  bāteñ
mausam-e-sabz  ke  lamhāt  bhī  shātir  kyā  haiñ
jaise  ujḌī  huī  bastī  meñ  ibādat  kā  samāñ
sūkhtī  shāḳh  pe  baiThe  hue  taa.ir  kyā  haiñ
kyuuñ  ba-har-lamha  bikhartā  hai  yaqīñ  kā  paikar
tanz  o  tashkīk  ke  asbāb  bil-āḳhir  kyā  haiñ
rāh-e-pur-ḳhār  pe  ye  chalte  bagūle  kī  tarah
roz-e-mahshar  ke  payāmī  haiñ  musāfir  kyā  haiñ
dardmandāna  sadāqat  ke  payambar  'shahpar'
dard  kī  baat  samajhne  se  bhī  qāsir  kyā  haiñ