ilzām-e-tīrgī  ke  sadā  us  pe  aa.e  haiñ
jis  ne  charāġh  apne  lahū  se  jalā.e  haiñ
shāyad  use  hamārī  anā  kā  gumāñ  na  thā
ham  tishnagī  paTak  ke  samundar  se  aa.e  haiñ
ye  dilkashī  subūt  hai  ai  jān-e-shā.irī
phūloñ  ne  rañg  tere  laboñ  se  churā.e  haiñ
hairāñ  hai  vo  bhī  vus.at-e-parvāz  dekh  kar
jis  ne  hamārī  fikr  par  pahre  biThā.e  haiñ
tark-e-ta.alluqāt  pe  vo  bhī  the  ġham-zada
aur  ham  bhī  apnī  zaat  se  jañg  haar  aa.e  haiñ
ab  naam  kyā  batā.ūñ  ki  ġham  kis  kā  hai  'sabā'
āñkheñ  mirī  zarūr  haiñ  aañsū  parā.e  haiñ