ġham-e-hayāt  ko  likkhā  kitāb  kī  mānind
aur  ek  naam  ki  hai  intisāb  kī  mānind
na  jaane  kah  diyā  kis  be-ḳhudī  meñ  saaqī  ne
surūr-e-tishna-labī  hai  sharāb  kī  mānind
bahut  qarīb  se  dekhā  to  inkishāf  huā
vo  ḳhaar  ḳhaar  hai  shāḳh-e-gulāb  kī  mānind
mirā  savāl  ki  kis  ne  mujhe  tabāh  kiyā
tirā  sukūt  mukammal  javāb  kī  mānind
maiñ  apnī  āñkhoñ  ko  rakhtā  huuñ  bā-vazū  har-dam
ki  terā  zikr  muqaddas  kitāb  kī  mānind
mujhe  aziiz  haiñ  ḳhvāboñ  kī  kirchiyāñ  bhī  'sabā'
kisī  nigāh  meñ  hoñgī  azaab  kī  mānind