tumheñ  batā.ūñ  ki  kis  mashġhale  se  aa.ī  hai
mirī  nazar  meñ  chamak  ratjage  se  aa.ī  hai
ḳhayāl  jaise  hī  aayā  zarā  sā  dam  le  luuñ
to  ik  sadā-e-jaras  qāfile  se  aa.ī  hai
chamak  rahī  hai  jabīñ  naqsh-e-pā  kī  barakat  se
vo  bil-yaqīñ  tire  rāste  se  aa.ī  hai
ye  kyā  ajab  hai  ki  mujh  ko  hī  kuchh  nahīñ  ma.alūm
jo  merī  baat  tire  vāste  se  aa.ī  hai
tum  apne  jism  kī  ḳhushbū  sambhāl  kar  rakhnā
ye  bahkī  bahkī  sadā  aa.ine  se  aa.ī  hai
bas  itnī  zid  thī  musallā  bichhā  ke  piinā  hai
palaT  ke  merī  anā  mai-kade  se  aa.ī  hai
jise  bhulā.e  zamāna  guzar  chukā  thā  'sabā'
usī  kī  yaad  baḌe  valvale  se  aa.ī  hai