us  kī  bāteñ  kyā  karte  ho  vo  lafzoñ  kā  baanī  thā
us  ke  kitne  lahje  the  aur  har  lahja  lā-fānī  thā
jab  maiñ  ghar  se  niklā  thā  tab  ḳhushk  zabāñ  par  kāñTe  the
aur  jab  ghar  meñ  vāpas  aayā  gardan  gardan  paanī  thā
jab  kuchh  māsūmoñ  kī  jaañ  thī  haivānoñ  ke  narġhe  meñ
tab  har  sūrat  ho  saktī  thī  har  ḳhatra  imkānī  thā
nām-e-ḳhudā  ab  bhī  jaarī  hai  sab  kī  zabānoñ  par  lekin
jis  jazbe  ne  paar  lagāyā  vo  jazba  shaitānī  thā
aaj  kī  mahfil  meñ  ai  'shahpar'  nukta-chīnī  thī  mujh  par
terā  to  kuchh  zikr  nahīñ  thā  tū  kyuuñ  paanī  paanī  thā