hogī  is  Dher  imārat  kī  kahānī  kuchh  to
DhūñD  alfāz  ke  malbe  meñ  ma.ānī  kuchh  to
log  kahte  haiñ  ki  tū  mujh  ko  burā  kahtā  hai
maiñ  bhī  sun  luuñ  tire  hoñToñ  kī  zabānī  kuchh  to
barf  ne  karb  kī  patvār  ko  bhī  toḌ  diyā
dil  ke  dariyā  ko  atā  kar  de  ravānī  kuchh  to
bhuul  baiThe  haiñ  vo  bachpan  ke  fasāne  lekin
yaad  hogī  unheñ  pariyoñ  kī  kahānī  kuchh  to
naqsh-e-pā  tak  bhī  na  chhoḌegī  havā  hai  pāgal
kaun  jānib  mujhe  jaanā  hai  nishānī  kuchh  to
tere  ehsās  meñ  shole  haiñ  ye  maanā  'shahpar'
sirf  rasmī  hī  sahī  barf-bayānī  kuchh  to