dil  meñ  shola  thā  so  āñkhoñ  meñ  namī  bantā  gayā
dard  kā  benām  jugnū  raushnī  bantā  gayā
ek  aañsū  ajnabiyat  kā  nadī  bantā  gayā
ek  lamha  thā  takalluf  kā  sadī  bantā  gayā
kyā  labālab  roz  o  shab  the  aur  kyā  vahshī  thā  maiñ
zindagī  se  duur  ho  kar  aadmī  bantā  gayā
kab  junūñ  meñ  khiñch  ga.ī  pairoñ  se  arz-e-e'tidāl
aur  ik  yūñhī  sā  jazba  āshiqī  bantā  gayā
rafta  rafta  tīrgī  ne  dasht-e-jāñ  sar  kar  liyā
raushnī  kā  har  fasāna  an-kahī  bantā  gayā
zindagī  ne  kaise  rāzoñ  kī  piTārī  khol  dī
āgahī  kā  har  tayaqqun  gumrahī  bantā  gayā
shahr  kā  chehra  samajh  kar  dekhte  the  sab  use
aur  vo  ḳhud  se  bhī  'shahpar'  ajnabī  bantā  gayā