Kishwar Naheed

mujhe bhula ke mujhe yaad bhi rakha tu ne

Kishwar Naheed

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1940
mujhe bhulā ke mujhe yaad bhī rakhā tū ne
ye kaisā da.ava-e-dushvār phir kiyā tū ne
havā ne apne liye naam kuchh rakhe hoñge
thakan se pūchh liyā ghar kā rāstā tū ne
hazar ki ab mire hāthoñ meñ mudda.ā bhī nahīñ
kiyā hai laila-e-ḳhvāhish ko be-adā tū ne
ye kaun terī tarah merī aañkh meñ chamkā
jalā.ī kaisī ye qindīl-e-bad-duā tū ne
nigāh-e-shab tire āñgan meñ ḳhvāb DhūñDhe thī
ye ab ke zaḳhm bhī kaisā diyā nayā tū ne
tujhe mire liye nīndoñ ke phuul laane the
ye kaisā āñkhoñ ko baḳhshā hai ratjagā tū ne
libās badlī huī raunaqoñ ke achchhe the
magar ye dil ki rakhā hausla-qabā tū ne
qadam ukhaḌ se ga.e the bajā.e ham-safarī
havā ko oḌh ke dekhā thā bār-hā tū ne
rahī gurez kī tah-dāmanī se bargashta
mujhe diyā thā vo saudā-e-hausla tū ne
Top Urdushayar.com