Kishwar Naheed

mujhe bhula ke mujhe yaad bhi rakha tu ne

Kishwar Naheed

Bulandshahar, Uttar pradesh, India

1940

mujhe bhulā ke mujhe yaad bhī rakhā ne

ye kaisā da.ava-e-dushvār phir kiyā ne

havā ne apne liye naam kuchh rakhe hoñge

thakan se pūchh liyā ghar rāstā ne

hazar ki ab mire hāthoñ meñ mudda.ā bhī nahīñ

kiyā hai laila-e-ḳhvāhish ko be-adā ne

ye kaun terī tarah merī aañkh meñ chamkā

jalā.ī kaisī ye qindīl-e-bad-duā ne

nigāh-e-shab tire āñgan meñ ḳhvāb DhūñDhe thī

ye ab ke zaḳhm bhī kaisā diyā nayā ne

tujhe mire liye nīndoñ ke phuul laane the

ye kaisā āñkhoñ ko baḳhshā hai ratjagā ne

libās badlī huī raunaqoñ ke achchhe the

magar ye dil ki rakhā hausla-qabā ne

qadam ukhaḌ se ga.e the bajā.e ham-safarī

havā ko oḌh ke dekhā thā bār-hā ne

rahī gurez tah-dāmanī se bargashta

mujhe diyā thā vo saudā-e-hausla ne

Top Urdushayar.com