Mauj Fatehgarhi

bichhaD ke un ke hum is ehtimal se bhi gae

Mauj Fatehgarhi

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1922
bichhaḌ ke un ke ham is ehtimāl se bhī ga.e
bayān-e-ġham se ga.e arz-e-hāl se bhī ga.e
thī jin kī yaad se raushan ḳhayāl kī duniyā
vo aise rūThe bisāt-e-ḳhayāl se bhī ga.e
nigāheñ milne se mumkin hai pyaar aa jaa.e
ham un kī bazm meñ kuchh is ḳhayāl se bhī ga.e
unhoñ ne aa ke koī haal tak nahīñ pūchhā
banāvaTī hī sahī indimāl se bhī ga.e
dil un ko de ke bahut mutma.in hue ham bhī
ki roz roz kī ab dekh-bhāl se bhī ga.e
nigāh-e-lutf nahīñ to nigāh-e-qahr sahī
sitam to ye hai ham is ehtimāl se bhī ga.e
vo aa.e chīñ-ba-jabīñ is liye sar-e-mahfil
ham un se ab to javāb-o-savāl se bhī ga.e
dil ik piyāla thā miTTī kā vo bhī TuuT gayā
nigāh milte hī jām-e-sifāl se bhī ga.e
ḳhudā pe chhoḌ ke ai 'mauj' kashtī-e-ulfat
sukūn pā ga.e fikr-e-ma.āl se bhī ga.e
Top Urdushayar.com