maslahat  ke  zāviyoñ  se  kis  qadar  anjān  hai
ā.īnoñ  ke  biich  meñ  patthar  bahut  hairān  hai
koī  kyuuñ  bantā  sar-e-mahfil  tamāshā  sāhibo
sar  uThā  kar  bolnā  to  bas  merī  pahchān  hai
hāmiyoñ  kī  bhiiḌ  par  is  raaz  ko  ifshā  karo
qāfile  ke  muntashir  hone  kā  bhī  imkān  hai
merā  ronā  giḌgiḌānā  rā.egāñ  sab  rā.egāñ
aap  kā  ik  muskurānā  dā.imī  farmān  hai
reḳhta  kā  ik  nayā  majzūb  hai  'shahpar'  rasūl
shohrat  us  ke  naam  par  ik  nañg  hai  bohtān  hai