zahr-e-shab  vīrān  bistar  ai  ḳhudā
karb  ik  manzar-ba-manzar  ai  ḳhudā
maiñ  tire  shāhīñ  kā  'shahpar'  ai  ḳhudā
kaun  hai  mere  barābar  ai  ḳhudā
kaash  tū  bhī  mujh  meñ  aa  kar  dekhtā
Dūbte  sūraj  kā  manzar  ai  ḳhudā
dostī  aur  dushmanī  ke  naam  se
qaid  huuñ  kis  kis  ke  andar  ai  ḳhudā
zer  kuchh  baune  mujhe  kaise  kareñ
in  haqīroñ  kī  madad  kar  ai  ḳhudā
biich  meñ  māsūm  sā  ik  aadmī
har  taraf  sāñpoñ  ke  lashkar  ai  ḳhudā