R P Shokh

mathe pe paDi zulf-e-girah-gir hila di

R P Shokh

māthe pe paḌī zulf-e-girah-gīr hilā dī
kyuuñ tum ne dil-e-ḳhufta kī zanjīr hilā dī
vaise to mire ishq kā har naqsh hasīñ thā
jab dard ne khīñchī to ye tasvīr hilā dī
ḳhat bhej diyā kaaT ke paimān-e-mulāqāt
ye kaun hai jis ne tirī tahrīr hilā dī
yuuñ hī na samajh ahl-e-mohabbat ke junūñ ko
kam-baḳht ne jab chāhā hai taqdīr hilā dī
vo zalzala go roz hilā detā thā dil ko
is baar magar saarī hī ta.amīr hilā dī
Top Urdushayar.com