ham  zindagī-shanās  the  sab  se  judā  rahe
bastī  meñ  haul  aayā  to  jañgal  meñ  jā  rahe
kamre  meñ  mere  dhuup  kā  aanā  ba-vaqt-e-sub.h
āñkhoñ  meñ  kaash  ek  hī  manzar  basā  rahe
phir  aaj  mere  dard  ne  mujh  ko  manā  liyā
koī  kisī  aziiz  se  kab  tak  ḳhafā  rahe
kab  tak  kisī  paḌāv  pe  vahshat  kare  qayām
kab  tak  kisī  ke  hijr  kā  saaya  ghanā  rahe
baabā  ye  mujh  haqīr  ko  itnī  baḌī  duā
tū  baat  kā  dhanī  hai  tirā  qad  sivā  rahe
'shahpar'  sada-e-vaqt  se  kar  lo  musālahat
mahrūmiyoñ  ke  dar  pe  koī  kyuuñ  paḌā  rahe