suḳhan  kiyā  jo  ḳhamoshī  se  shā.erī  jaagī
charāġh  lafzoñ  ke  jal  uTThe  raushnī  jaagī
zid-e-malāl-o-masarrat  meñ  umr  biit  ga.ī
ye  dev  soyā  na  vo  ḳhvāb  kī  parī  jaagī
tū  barf  dard  samundar  meñ  iztirāb  aayā
to  ḳhushk-chashm  jazīre  meñ  kuchh  namī  jaagī
vahāñ  zabāñ  pe  samundar  kī  ḳhushkiyāñ  ubhrīñ
yahāñ  zamīn  ke  hoñToñ  pe  kuchh  hañsī  jaagī
nazar  nazar  meñ  samā.īñ  halāvateñ  'shahpar'
ḳhayāl-e-lams-o-nazārā  meñ  sarḳhushī  jaagī