Seema Sharma Meeruthi

zarre zarre hain aks ke har-su

Seema Sharma Meeruthi

zarre zarre haiñ aks ke har-sū
reza reza haiñ ā.īne har-sū
yaad kī barq ho ga.ī raqsāñ
aur aañsū baras paḌe har-sū
jab se paanī marā hai āñkhoñ kā
shahr ke shahr jal ga.e har-sū
ḳhushbueñ gum huī kahāñ jaane
kāġhzī phuul hī mile har-sū
Dhalte sūraj ne raat boī thī
gul sitāroñ ke khil ga.e har-sū
shab kā ghūñghaT uThāyā sūraj ne
zarre zarre chamak uThe har-sū
ḳhūb-sūrat ġhazal banī dulhan
mezbānī meñ lafz the harsū
koī gāhak nazar nahīñ aatā
aur bāzār khul ga.e har-sū
sūkhte peḌ se gire patte
phir parinde bhī uḌ ga.e har-sū
bandisheñ toḌ dī haiñ dariyā ne
aur zamīñ par haiñ zalzale har-sū
ban na paa.e kumhār se kuchh ham
chaak par ghūmte rahe har-sū
talve meñ til sabab safar kā hai
gird us til ke aable har-sū
terī yādeñ sarāb sahrā ke
tū hī 'sīmā' ko ab dikhe har-sū
Top Urdushayar.com