koī  saaya  na  koī  ham-sāya
āb-o-dāna  ye  kis  jagah  laayā
dost  bhī  mere  achchhe  achchhe  haiñ
ik  muḳhālif  bahut  pasand  aayā
halkā  halkā  sā  ik  ḳhayāl  sā  kuchh
bhīnī  bhīnī  sī  dhuup  aur  chhāyā
ik  adā  thī  ki  raah  roktī  thī
ik  anā  thī  ki  jis  ne  uksāyā
ham  bhī  sāhib  dilāñ  meñ  aate  haiñ
ye  tire  ruup  kī  hai  sab  maayā
chal  paḌe  haiñ  to  chal  paḌe  sā.īñ
koī  saudā  na  koī  sarmāyā
us  kī  mahfil  to  merī  mahfil  thī
bas  jahāñ-dāriyoñ  se  uktāyā
sab  ne  tārīf  kī  mirī  'shahpar'
aur  maiñ  ahmaq  bahut  hī  sharmāyā