phir  se  vahī  hālāt  haiñ  imkāñ  bhī  vahī  hai
ham  bhī  haiñ  vahī  mas.ala-e-jāñ  bhī  vahī  hai
kuchh  bhī  nahīñ  badlā  hai  yahāñ  kuchh  nahīñ  badlā
āñkheñ  bhī  vahī  ḳhvāb-e-pareshāñ  bhī  vahī  hai
ye  jaal  bhī  us  ne  hī  bichhāyā  thā  usī  ne
ḳhush  ḳhush  bhī  vahī  shaḳhs  thā  hairāñ  bhī  vahī  hai
ai  vaqt  kahīñ  aur  nazar  Daal  ye  kyā  hai
muddat  ke  vahī  haath  garebāñ  bhī  vahī  hai
kal  shaam  jo  āñkhoñ  se  chhalak  aayā  thā  merī
tum  ḳhush  ho  ki  us  shaam  kā  unvāñ  bhī  vahī  hai
har  tiir  usī  kā  hai  har  ik  zaḳhm  usī  kā
har  zaḳhm  pe  añgusht  ba-dandāñ  bhī  vahī  hai
'shahpar'  vahī  bhūlā  huā  qissa  vahī  phir  se
achchhā  hai  tirī  shaan  ke  shāyāñ  bhī  vahī  hai