ḳhud  ko  ḳhud  par  hī  jo  ifshā  kabhī  karnā  paḌ  jaa.e
jaise  jiine  kī  bahut  chaah  meñ  marnā  paḌ  jaa.e
aisā  ik  vaqt  jab  aatā  hai  to  kyā  karte  ho
dil  jo  karnā  nahīñ  chāhe  vahī  karnā  paḌ  jaa.e
ho  to  mahtāb  ke  ham-raqs  magar  aisā  na  ho
dāman-e-chashm  sitāroñ  hī  se  bharnā  paḌ  jaa.e
jis  ko  dekhā  na  kabhī  jis  kī  tamannā  bhī  na  kī
paañv  usī  shahr  ke  raste  pe  jo  dharnā  paḌ  jaa.e
sūrat-e-ashk-e-nadāmat  hī  sahī  ai  'shahpar'
merī  āñkhoñ  se  kabhī  us  ko  guzarnā  paḌ  jaa.e