kab  chalā  jaatā  hai  'shahpar'  koī  aa  ke  sāmne
suuī  kā  girnā  bhī  kyā  āvāz-e-pā  ke  sāmne
roz  be-maqsad  ḳhushāmad  qatl  kartī  hai  use
roz  mar  jaatā  hai  vo  apnī  anā  ke  sāmne
karb  kī  masmūm  lahreñ  tez  tar  hone  lagīñ
rakh  diyā  kis  ne  charāġh-e-dil  havā  ke  sāmne
qalb  kī  gahrā.iyoñ  meñ  sirf  terā  aks  hai
dekh  le  kyā  kah  rahā  huuñ  maiñ  ḳhudā  ke  sāmne
roz  koī  aas  bhar  jaatī  hai  in  meñ  rañg-e-yās
roz  rakh  letā  huuñ  maiñ  ḳhāke  banā  ke  sāmne
dūsroñ  ke  zaḳhm  bun  kar  oḌhnā  āsāñ  nahīñ
sab  qabā.eñ  hech  haiñ  merī  ridā  ke  sāmne