na  koī  ḳhvāb  na  maazī  hī  mere  haal  ke  paas
koī  kamāl  na  Thahrā  mire  zavāl  ke  paas
na  mīThe  lafz  na  lahja  hī  indimāl  ke  paas
javāb  kā  to  guzar  bhī  nahīñ  savāl  ke  paas
firāq  o  vasl  ke  ma.anī  badal  ke  rakh  degā
tire  ḳhayāl  kā  honā  mire  ḳhayāl  ke  paas
masarratoñ  ke  dukhoñ  kā  to  zikr  bhī  bekār
kahāñ  hai  koī  mudāvā  kisī  malāl  ke  paas
nahīñ  hai  koī  bhī  sarhad  mire  junūñ  aage
jahān-e-husn-e-jahāñ  hai  tire  jamāl  ke  paas
shikāriyoñ  kī  ummīdeñ  sañvartī  rahtī  haiñ
tuyūr  ghūmte  phirte  haiñ  ḳhuub  jaal  ke  paas
tumhāre  lafz  use  khīñchte  to  the  'shahpar'
junūb  kaise  pahuñchtā  magar  shumāl  ke  paas