Javed Akhtar

kin lafzon mein itni kaDwi itni kasili baat likhun

Javed Akhtar

Sitapur, Uttar pradesh, India

1945
kin lafzoñ meñ itnī kaḌvī itnī kasīlī baat likhūñ
sher kī maiñ tahzīb banā huuñ yā apne hālāt likhūñ
ġham nahīñ likkhūñ kyā maiñ ġham ko jashn likhūñ kyā mātam ko
jo dekhe haiñ maiñ ne janāze kyā un ko bārāt likhūñ
kaise likhūñ maiñ chāñd ke qisse kaise likhūñ maiñ phuul kī baat
ret uḌaa.e garm havā to kaise maiñ barsāt likhūñ
kis kis kī āñkhoñ meñ dekhe maiñ ne zahr bujhe ḳhanjar
ḳhud se bhī jo maiñ ne chhupā.e kaise vo sadmāt likhūñ
taḳht kī ḳhvāhish luuT kī lālach kamzoroñ par zulm kā shauq
lekin un kā farmānā hai maiñ in ko jazbāt likhūñ
qātil bhī maqtūl bhī donoñ naam ḳhudā kā lete the
koī ḳhudā hai to vo kahāñ thā merī kyā auqāt likhūñ
apnī apnī tārīkī ko log ujālā kahte haiñ
tārīkī ke naam likhūñ to qaumeñ firqe zaat likhūñ
jaane ye kaisā daur hai jis meñ jur.at bhī to mushkil hai
din ho agar to us ko likhūñ din raat agar ho raat likhūñ
Top Urdushayar.com