kin  lafzoñ  meñ  itnī  kaḌvī  itnī  kasīlī  baat  likhūñ
sher  kī  maiñ  tahzīb  banā  huuñ  yā  apne  hālāt  likhūñ
ġham  nahīñ  likkhūñ  kyā  maiñ  ġham  ko  jashn  likhūñ  kyā  mātam  ko
jo  dekhe  haiñ  maiñ  ne  janāze  kyā  un  ko  bārāt  likhūñ
kaise  likhūñ  maiñ  chāñd  ke  qisse  kaise  likhūñ  maiñ  phuul  kī  baat
ret  uḌaa.e  garm  havā  to  kaise  maiñ  barsāt  likhūñ
kis  kis  kī  āñkhoñ  meñ  dekhe  maiñ  ne  zahr  bujhe  ḳhanjar
ḳhud  se  bhī  jo  maiñ  ne  chhupā.e  kaise  vo  sadmāt  likhūñ
taḳht  kī  ḳhvāhish  luuT  kī  lālach  kamzoroñ  par  zulm  kā  shauq
lekin  un  kā  farmānā  hai  maiñ  in  ko  jazbāt  likhūñ
qātil  bhī  maqtūl  bhī  donoñ  naam  ḳhudā  kā  lete  the
koī  ḳhudā  hai  to  vo  kahāñ  thā  merī  kyā  auqāt  likhūñ
apnī  apnī  tārīkī  ko  log  ujālā  kahte  haiñ
tārīkī  ke  naam  likhūñ  to  qaumeñ  firqe  zaat  likhūñ
jaane  ye  kaisā  daur  hai  jis  meñ  jur.at  bhī  to  mushkil  hai
din  ho  agar  to  us  ko  likhūñ  din  raat  agar  ho  raat  likhūñ