yaad  use  bhī  ek  adhūrā  afsāna  to  hogā
kal  raste  meñ  us  ne  ham  ko  pahchānā  to  hogā
Dar  ham  ko  bhī  lagtā  hai  raste  ke  sannāTe  se
lekin  ek  safar  par  ai  dil  ab  jaanā  to  hogā
kuchh  bātoñ  ke  matlab  haiñ  aur  kuchh  matlab  kī  bāteñ
jo  ye  farq  samajh  legā  vo  dīvāna  to  hogā
dil  kī  bāteñ  nahīñ  hai  to  dilchasp  hī  kuchh  bāteñ  hoñ
zinda  rahnā  hai  to  dil  ko  bahlānā  to  hogā
jiit  ke  bhī  vo  sharminda  hai  haar  ke  bhī  ham  nāzāñ
kam  se  kam  vo  dil  hī  dil  meñ  ye  maanā  to  hogā