mujh  ko  yaqīñ  hai  sach  kahtī  thiiñ  jo  bhī  ammī  kahtī  thiiñ
jab  mere  bachpan  ke  din  the  chāñd  meñ  pariyāñ  rahtī  thiiñ
ek  ye  din  jab  apnoñ  ne  bhī  ham  se  naata  toḌ  liyā
ek  vo  din  jab  peḌ  kī  shāḳheñ  bojh  hamārā  sahtī  thiiñ
ek  ye  din  jab  saarī  saḌkeñ  rūThī  rūThī  lagtī  haiñ
ek  vo  din  jab  aao  kheleñ  saarī  galiyāñ  kahtī  thiiñ
ek  ye  din  jab  jaagī  rāteñ  dīvāroñ  ko  taktī  haiñ
ek  vo  din  jab  shāmoñ  kī  bhī  palkeñ  bojhal  rahtī  thiiñ
ek  ye  din  jab  zehn  meñ  saarī  ayyārī  kī  bāteñ  haiñ
ek  vo  din  jab  dil  meñ  bholī-bhālī  bāteñ  rahtī  thiiñ
ek  ye  din  jab  lākhoñ  ġham  aur  kaal  paḌā  hai  aañsū  kā
ek  vo  din  jab  ek  zarā  sī  baat  pe  nadiyāñ  bahtī  thiiñ
ek  ye  ghar  jis  ghar  meñ  merā  sāz-o-sāmāñ  rahtā  hai
ek  vo  ghar  jis  ghar  meñ  merī  būḌhī  naanī  rahtī  thiiñ