nigal  ga.e  sab  kī  sab  samundar  zamīñ  bachī  ab  kahīñ  nahīñ  hai
bachāte  ham  apnī  jaan  jis  meñ  vo  kashtī  bhī  ab  kahīñ  nahīñ  hai
bahut  dinoñ  ba.ad  paa.ī  fursat  to  maiñ  ne  ḳhud  ko  palaT  ke  dekhā
magar  maiñ  pahchāntā  thā  jis  ko  vo  aadmī  ab  kahīñ  nahīñ  hai
guzar  gayā  vaqt  dil  pe  likh  kar  na  jaane  kaisī  ajiib  bāteñ
varaq  palaTtā  huuñ  maiñ  jo  dil  ke  to  sādgī  ab  kahīñ  nahīñ  hai
vo  aag  barsī  hai  dopahar  meñ  ki  saare  manzar  jhulas  ga.e  haiñ
yahāñ  savere  jo  tāzgī  thī  vo  tāzgī  ab  kahīñ  nahīñ  hai
tum  apne  qasboñ  meñ  jā  ke  dekho  vahāñ  bhī  ab  shahr  hī  base  haiñ
ki  DhūñDhte  ho  jo  zindagī  tum  vo  zindagī  ab  kahīñ  nahīñ  hai